masal kar phenk dun aankhen to kuchh tanwir ho paida jo dil ka khun kar dalun to phir tasir ho paida agar dariya ka munh dekhun to qaid-e-naqsh-e-hairat hun jo sahra gher le to halqa-e-zanjir ho paida sarasar silsila patthar ka chashm-e-nam ke ghar mein hai koi ab khwab dekhe bhi to kyun tabir ho paida main in khali manazir ki lakiron mein na uljhun to khutut jism se milti koi taswir ho paida lahu mein ghul gae jo gul dobara khil bhi sakte hain jo main chahun to sine par nishan-e-tir ho paida