masala husn-e-takhyyul ka hai na ilham ka hai ye fasana zara mushkil dil-e-nakaam ka hai raat-din pahron-pahar us ki ada ke charche ye tamasha bhi mere waste kis kaam ka hai muskurane lage har samt mohabbat ke charagh tere chehre ka tasawwur bhi bade kaam ka hai suni suni thin jo aankhen wo dobara hans den nazar aaya hai jo manzar wo usi sham ka hai is talluq ka koi rang na dhalne paya tazkira sheron mein ab bhi usi gulfam ka hai le udin zard hawaen mere ghar se khushbu baam-o-dar kya hain daricha mere kis kaam ka hai fasl ho jae to badhti hai khushi se duri aap ka qurb ye sach hai bade aaram ka hai