masale mere sabhi hal kar de warna yarab mujhe pagal kar de waqt ki dhup mein jalta hai badan mujh pe saya koi aanchal kar de aisi tahzib se hasil kya hai jo bhare shahr ko jangal kar de rok rakkhi hai ghata aankhon mein warna bah jae to jal-thal kar de wo jo rakhta hai mujhe nazron mein kahin nazron se na ojhal kar de shahr mein jadu hai jaane kaisa zar-e-khalis ko jo pital kar de gham hai saughat ki surat yarab tu mere gham ko musalsal kar de