masrur ho rahe hain gham-e-ashiqi se hum kyun tang honge kashmakash-e-zindagi se hum koh-e-alam utha hi liya rah-e-ishq mein apni khushi ko chhod ke teri khushi se hum lab-ha-e-yar ne to gulistan piro liye khushbu jo pa rahe hain teri pankhudi se hum apni bahaar dekh ke hairan rah gae waqif hue hain jab se rumuz-e-khudi se hum meri jabin-e-shauq ko dar un ka mil gaya uth kar kahan ko jaen dar-e-bandagi se hum rah-e-wafa mein ji ke mare mar ke bhi jiye khela usi tarah se kiye zindagi se hum daman ko tar-tar kiya manzilen milin aaenge ab na hosh mein diwangi se hum khud dard ban gaya mera darman-e-zindagi itna qarib ho gae kuchh dard hi se hum jo maqsad-e-hayat ko bhule wahi kahen tang aa chuke hain kashmakash-e-zindagi se hum 'wasil' ke dagh-e-dil se hai manzil ki raushni warna nikal ke aate bhala tirgi se hum