mast hun muttaqi nahin hun main kaam ka aadmi nahin hun main mujh ko duniya ki fikr lahaq hai yani koi wali nahin hun main tere mear ka to dur ki baat tere matlab ka bhi nahin hun main mazhab-e-ishq ka payambar hun han magar aakhiri nahin hun main dar nahin pas aa mere pyare nur hun raushni nahin hun main muqtada hun main roz-e-awwal se kafira! muqtadi nahin hun main aam se kuza-gar ka beta hun ganw ka chaudhari nahin hun main mujh pe thoda sa ghaur kar 'tahsin' hun to phir aarzi nahin hun main