masti-e-do-alam ek markaz pe simat aai so kar wo utha kuchh yun leta hua angdai pur-shauq nazar meri kuchh dekh ke lalchai kuchh us ke ishaaron se wo hausla-afzai yak-lakht hue rukhsat sab sabr-o-shakebai tadpa gai jab aai us samt se purwai kya us ka asar us par majma ho ki tanhai diwana to diwana saudai to saudai parwana hai diwana lau shama ki tharrai kya rang-e-wafa lai ek pal ki shanasai farhad gahe majnun ban kar yahan jab aae rudad-e-junun hum ne har martaba dohrai meri hi badaulat wo mashhur-e-do-alam hain ruswai-e-ulfat ye un ke bade kaam aai pursan-e-alam hote rasman hi kabhi sahab zahmat na gai itni bhi aap se farmai ai baad-e-saba ja kar un se tu hi ye kah de didar ka khwahan hun milne ka tamannai main chup hun magar kahiye kya haal hai ye aakhir mathe pe pasina hai aawaz hai bharai bimar-e-mohabbat ka bas ab hai khuda-hafiz kaam aai masiha ki kuchh bhi na masihai kya wo bhi zamana tha mearaj-e-mohabbat ka din-raat dar-e-jaanan par nasiya-farsai chahe jise de zillat chahe jise de izzat rai ko kare parbat parbat ko kare rai bas yunhi samjhe ab haal-e-dil-e-afsurda chingari dahakti ek jis tarah ho kajlai bazar-e-nigaran ka manzar wo are tauba sanche mein dhali har shai ek paikar-e-ranai gardun pe mah-e-nau phir dikhlai diya 'mahir' phir id-e-mubarak ki har-su se sada aai