masum khwahishon ki pashimaniyon mein tha jine ka lutf to inhin nadaniyon mein tha aanhken bichhate har kas-o-nakas ki rah mein yun jazba-e-khulus farawaniyon mein tha naddi mein pahron jhankte rahte the pul se hum kya bhed tha jo bahte hue paniyon mein tha patthar bane khade the tajassus ke dasht mein dil gum tilism-e-shauq ki hairaniyon mein tha yun reng reng kar na guzarte the roz o shab dariya-e-zist bhi kabhi jaulaniyon mein tha sanjidgi ki gahri lakiron mein dhal gaya masumiyat ka nur jo peshaniyon mein tha ek ghar bana ke kitne jhamelon mein phans gae kitna sukun be-sar-o-samaniyon mein tha din aarzu ke yunhi udasi mein kat gae wo apne dukh mein apni pareshaniyon mein tha us ke liye bhi zindagi pal pal azab thi wo bhi sulagte waqt ke zindaniyon mein tha wo zabt o e'tidal o tawazun kahan 'riyaz' meyar-e-fan ki jo kabhi yunaniyon mein tha