mat khuda dhund sawalat ke aaine mein is ko pahchan inayat ke aaine mein mail-e-haq bhi hai aasi bhi ana wala bhi wo jo rahta hai meri zat ke aaine mein kuchh raqam hai meri qismat bhi tere hathon mein sab nahin milta mere hat ke aaine mein jang jari hai meri nafs-e-amara se hanuz jab se dekha tujhe barsat ke aaine mein qalb jab tak na munawwar ho yaqin-e-kul se waswase pale hai shubhat ke aaine mein rishte be-laus faza mein jo janam lete hain wo nahin tutte haalat ke aaine mein qurb-e-shabbir hai kya re ki hukumat kya hai hur ne sab dekh liya raat ke aaine mein ghair bhi sungh liya karte hain aksar 'shaarib' ek mohabbat teri har baat ke aaine mein