mat mehr seti hath mein le dil hamare kun jalta hai kyun pakadta hai zalim angare kun chehre ko chhidkiyaw kiya hai anjhu nin yun pani ke dhaare katte hain jun karare kun maqul kyun raqib ho minnat sin khalq ki kui khub kar sake hai khuda ke bigade kun marta hun lag rahi hai ramaq aa daras dikhao ja kar kaho hamari taraf se piyare kun main aa pada hun ishq ke zalim bhanwar mein aaj aisa koi nahin ki lagawe kinare kun sine ko abruwan nin tere yun kiya figar takhte upar chalawte hain junki aare kun apna jamal 'abru' kun tuk dikhao aaj muddat se aarzu hai daras ki bichaare kun