mata-e-abru le kar ata se kuchh nahin hota baha ho khun-e-dil to khun-baha se kuchh nahin hota mizaj-e-dil bigad jae to phir ai mehrban suniye jafa se kuchh nahin hota wafa se kuchh nahin hota sar-e-maqtal tumhaare karname sab ne dekhe hain sar-e-mimbar bahut aah-o-buka se kuchh nahin hota zaban khul jae to sab bandishen be-sud hoti hain qadam uth jaen to zanjir-e-pa se kuchh nahin hota