mata-e-fikr-o-nazar raha hun misal-e-khushbu bikhar raha hun main zindagani ke marke mein hamesha zer-o-zabar raha hun shafaq hun suraj hun raushni hun salib-e-gham par ubhar raha hun sajao raste bichhao kante ki pa-barahna guzar raha hun na zindagi hai na maut hai ye na ji raha hun na mar raha hun jo mere andar chhupa hua hai us aadmi se bhi dar raha hun wo mere apne hi gham the 'sabir' ki jin se main be-khabar raha hun