mata-o-mal jo le jae to ghanimat hai

mata-o-mal jo le jae to ghanimat hai
wo apni jaan bacha lae to ghanimat hai

phalon ka aaega mausam to phal bhi aaenge
darakht deta rahe sae to ghanimat hai

kabhi to umr guzar jati hai nahin aati
shuur waqt pe aa jae to ghanimat hai

kabhi jo dard mein dubi hui sada ubhre
samaaton se na takrae to ghanimat hai

ye gham jo us ne diya hai hunar se mere 'shakil'
mizaj-e-sher mein dhal jae to ghanimat hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close