matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai

matla ghazal ka ghair zaruri kya kyun kab ka hissa hai
zindagi choklet cake hai thoda thoda sab ka hissa hai

ab jo bar mein tanha pita hun coffee ke nam pe zahr
us ki talkh si shirini mein us ke lab ka hissa hai

lok kahaniyon mein ma-baad-e-jadid ki pesh-amad jaise
fiction ki re-cell walue mein mazhab ka hissa hai

ke-pi-ke afghanistan hai aur balochistan iran
sindh hai chin mein aur pyara punjab arab ka hissa hai

sohni ya sohne se pahle haq hai ghade par pani ka
kab se ghadi mein jab aur tab se zyaada ab ka hissa hai

mana hijr ki raat hai ye par kitni khushi ki baat hai ye
gham ki rim-rim-jhim ki hamdam bazm-e-tarab ka hissa hai

cab chalane wale daji tab chalane wala saji
wo jo adab ka hissa the to ye bhi adab ka hissa hai

tai hua nazm hi mustaqbil hai pan-sau bil hai bhai pyaro
aankh na maro ghazal hamare hasab-nasab ka hissa hai

ek din jab budhe painter ke pas sharab ke paise nahin the
chhat par ye ghanghor ghata tab se is pub ka hissa hai

sex jo pahle sakhtiyati roz-o-shab ka hissa thi
ab mabaad-e-sakhtiyati roz-o-shab ka hissa hai

qafiya bahr radif waghaira jaise harif zarif waghaira
in ko thanda soda pilao bhai ye kab ka qissa hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close