mauj-o-girdab pe rakhta hai safina mera us ko manzur na marna hai na jina mera mehr-e-afkar ki hoti hai nawazish jab bhi arz-e-qirtas pe girta hai pasina mera mujh ko aata hai azabon ka izala karna mom hai to kabhi faulad hai sina mera khadim-e-kucha-e-jaan ye hai sadaqat meri chand anfas muqarrar hai mahina mera fasle ki nahin qael hai mohabbat meri sathiyo hai mere dil mein hi madina mera wo nahin gardish-e-ayyam ke dar pe 'rahat' dekhna hai use maqsud qarina mera