maujon mein maza aata ho jise girdab se larzan kya hoga jo banda-e-sahil ban ke rahe lazzat-kash-e-tufan kya hoga jo umr kate be-kaifi mein be-lutfi mein be-rangi mein us qisse ki surkhi kya hogi us zist ka unwan kya hoga rudad-e-qafas kya khak kahen jab tak bhi rahe ye fikr rahi anjam-e-nasheman kya hoga anjam-e-gulistan kya hoga hai apna junun-e-ishq-faza har qaid-e-makan se baala-tar mamnun-e-gulistan kya hoga paband-e-bayaban kya hoga begana-e-bim-o-raja ho kar taqdir banaen aap apni ye fikr dalil-e-pasti hai anjam-e-gulistan kya hoga wan zid hai ki be-mange na mile yan husn-e-talab bhi hai bidat rahmat ke liye bhi sharten hon to afw ka arman kya hoga ye tarz-e-jahan ye khun-e-wafa ye ham-nafason ki be-mehri takmil-e-tamanna ho na saki to zist ka saman kya hoga rangin jawani hi kab thi khair ab to budhapa aaya hai chaalis ke pethe mein aakhir ab 'badr' ghazal-khwan kya hoga