mausam-e-khar ya bahaar mein hai zindagi tere ikhtiyar mein hai jit kar ye mujhe hua ehsas zindagi ka maza to haar mein hai pyar ki baaten log bhul gae ab har ek shakhs intishaar mein hai ab kisi par yaqin ho kaise jis ko dekho wo lut-mar mein hai aaj kah dena tum 'salim' us se jo bhi is qalb-e-be-qarar mein hai