mausam hara-bhara hai ye manzar bhi dekh le kuchh der tazgi mein sanwar kar bhi dekh le sach baat kahne ke liye apni zaban to khol phir kis taraf se aate hain patthar bhi dekh le mana ki tishnagi kisi sahra ki den hai faiyyaz kis qadar hai samundar bhi dekh le tu ne bala ki dhup mein kati tamam umr ab sard shab ki odh ke chadar bhi dekh le duniya ko tu ne dekha hai khidki se jhank kar ek roz apne ghar se nikal kar bhi dekh le kanton ka taj sar pe liye kyon salib par hai aazmaishon mein payambar bhi dekh le nam-e-'saba' hatheli pe apni kabhi saja taki zamana us ka muqaddar bhi dekh le