mausam ke pas koi khabar mo'atabar bhi ho mauj-e-hawa ke sath tera nama-bar bhi ho sun lega teri chap to dhadkega der tak lakh apne gird-o-pesh se dil be-khabar bhi ho arzan se log bhagte us ko to gham nahin lazim nahin ki husn mein husn-e-nazar bhi ho barson se jis makan mein meri bud-o-bash hai ab kya ye lazmi hai wahi mera ghar bhi ho sustae jis ke sae mein har aarzu meri is dil ke sahn mein koi aisa shajar bhi ho shah-rah-e-raushni pe chala hai jo mere sath tarik raston mein mera ham-safar bhi ho kitne hi phul chehre dhuan ban ke rah gae is sanehe se kash koi ba-khabar bhi ho us ke liye to daw pe khud ko laga den hum tadbir wo batao ki jo kargar bhi ho jage hue gulon hi se 'shabnam' ko pyar hai mumkin hai koi shai tere zer-e-asar bhi ho