mausam sard hawaon ka mere ghar se nikla tha chup tari thi duniya par ek faqat main roya tha wo jo dil mein tufan tha qatra qatra barsa tha dukh ke taq pe sham dhale kis ne diya jalaya tha ab ke mausam barkha ka burqa pahan ke nikla tha sathwin sal ke aane par pahli bar main hansa tha aag lagi thi dariya mein lekin sahil chup sa tha