maut aaegi jo ruswai ka saman hoga chaak dil hoga agar chaak gareban hoga dil ko bahlata hun ye kah ke teri furqat mein parda-e-ghaib se khud wasl ka saman hoga hashr mein dekhenge rahmat ka tamasha zahid jab khatawar khataon pe pasheman hoga malak-ul-maut ko bhi sath gul apne lana mujh pe ehsan tera ai shab-e-hijran hoga rahnumai rah-e-ulfat mein jo ai khizr kare wo farishta to nahin mujh sa hi insan hoga hum na kahte the ki hai hosh-ruba husn tera aaina dekh na tu dekh ke hairan hoga mujh se kahti hai shab-e-wasl pareshan-nazari aap ke dil mein bhi shayad koi arman hoga ku-e-jaanan ki hawas tujh ko bahut hai ai 'shad' khak ke zarron ki manind pareshan hoga