maut hi ek dawa hai aur wo jari hai hum ko zinda rahne ki bimari hai sirf udas rahoge gar tum sachche ho baqi har jazba-e-mashq fankari hai andar andar dar-ba-dari hi dar-ba-dari bahar bahar khub dar-o-diwari hai jism bahut bhaari hain shahr ke logon ke jismon mein dil hain to aur bhi bhaari hain dariya mein sahil hain dakhl-andaz bahut dariya bechaara kya hai bas jari hai main to apne aap se aari hun kab se phir ye kis ke hone ki tayyari hai sher mein ek zara sa hota hai ilham us ke baad to jo kuchh hai fankari hai fankari to aire-ghaire bhi kar len aslan to ilham mein hi dushwari hai jism uda phirta hai wahi bazaron mein ruh wahi masruf-e-khana-dari hai chehra abhi tak hai khana-abaad mera us ke muqabil aaina-bazari hai kasa-e-jism bana baitha hai jab dekho ye farhat-ehsas ajib bhikari hai