maut kya dard ka bahana hai

maut kya dard ka bahana hai
zindagi gham ka aana-jaana hai

aakhiri sans roke rakhta hun
tera wada abhi nibhana hai

dil mein din-raat dard uthta hai
gham ka ek mustaqil thikana hai

tere bazar mein bikun shayad
dil ka har qarz jo chukana hai

tujh se kar ke wafa ki ummiden
hasb-e-mamul dil dukhana hai

ab zamane ki di hui duri
ek kamzor sa bahana hai

phir meri aab aab aankhon ko
apni haalat pe muskurana hai

phir se ye aabru badhe na kahin
phir tere aage sar jhukana hai

muskura kar tera badal jaana
bhul jaana hai yaad aana hai

chhina baaligh se maut ka daman
zindagi aur kya dikhana hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close