mawaqe ishq ke wo ab kahan hain adaen yar ki dard-e-zaban hain nahin banti hai aapas mein koi baat hamare darmiyan kuchh talkhiyan hain hamein milne nahin ab koi aata muqaddar mein yahi tanhaiyan hain hain ye bhi ek hissa zindagi ka idhar dukh hain udhar shahnaiyan hain palat kar ja nahin sakte watan mein hamari rah mein barbaadiyan hain na jao khud hamein padh lo sabaq lo hami maghrib-zadon ki dastan hain na khulwao mera munh anjuman mein mere dil mein kai baaten nihan hain wafa badhti hai jin rishton se ai dost wahi rishte hamare darmiyan hain nazar aata nahin sachchai ka lafz ye kaise rahnumaon ke bayan hain