mayus-e-azal hun ye mana nakaam-e-tamanna rahna hai jate ho kahan rukh pher ke tum mujh ko to abhi kuchh kahna hai khinchenge wahan phir sard aahen aankhon se lahu phir bahna hai afsana kaha tha jo hum ne dohra ke wahin tak kahna hai dushwar bahut ye manzil thi mar mit ke tah-e-turbat pahunche har qaid se hum aazad hue duniya se alag ab rahna hai rakhta hai qadam is kucha mein zarre hain qayamat-za jis ke anjam-e-wafa hai nazron mein aaghaz hi se dukh sahna hai ai paik-e-ajal tere hathon aazad-e-talluq ruh hui ta-hashr badal sakta hi nahin hum ne wo libas ab pahna hai ai girya-e-khun tasir dikha ai josh-e-fughan kuchh himmat kar rangin ho kisi ka daman bhi ashkon ka yahan tak bahna hai apna hi sawal ai 'dil' hai jawab is bazm mein aakhir kya kahiye kahna hai wahi jo sunna hai sunna hai wahi jo kahna hai