maza deta hai yaad aa kar tera bismil bana dena laga dena zara tir-e-nazar han phir laga dena wo mera be-khudi mein us ke munh se munh mila dena qayamat ek chup ka phir wo donon ko saza dena ada-e-sharm ho khalwat mein ya andaz shokhi ke tere har naz par hum ko to jaan ai dilruba dena hamara aarzu-e-bosa karna tujh se dar-parda tera dushnam dena aur kya kya barmala dena sifarish ham-damon ki un ka jate waqt ye kahna ki jab tadpe meri taswir sine se laga dena na hone pae waqif lazzat-e-tazir se dushman mazahir chand ho us ki magar hum ko saza dena udhar us lab se nikla shokh chitwan ko na dena dil udhar chashm-e-sukhan-go ne ishaaron mein kaha dena labon se lab mila len wasl mein sine se ya sina magar mumkin nahin us but ke dil se dil mila dena agar ahd-e-wafa se tu bhi phir jae mohabbat mein 'hijab' us shokh ko malum ho jae dagha dena