maza visal ka kya gar firaq-e-yar na ho nahin hai nashe ki kuchh qadr agar khumar na ho na roe ta koi aashiq ye hukm hai us ka ki shama bhi meri mahfil mein ashk-bar na ho jo hichki aai to khush main hua ki maut aai kisi ko yar ka itna bhi intizar na ho zaqan hai seb to unnab hai lab-e-shirin nahin hai sarw wo khush-qad jo mewa-dar na ho wo hun main morid-e-nafrat ki darkinar hai yar pae fishaar kabhi gor ham-kanar na ho na aae kunj-e-lahad mein bhi mujh ko khwab-e-adam agar sirhane koi khisht-e-ku-e-yar na ho ba-rang-e-husn-e-butan hai dil-e-shagufta mera jo is chaman mein khizan ho to phir bahaar na ho gai hai kaisi zamane se rasm-e-sar-garmi ajab nahin hai jo patthar mein bhi sharar na ho na hansne se kabhi hamraaz posh waqif hon ba-rang-e-ghuncha jigar jab talak figar na ho teri mizha ki jo tashbih us se tark karen kisi ke tir se koi kabhi figar na ho dam-e-akhir to kar len nazara ji bhar ke ilahi khanjar-e-saffak aab-dar na ho yahi hai qulzum-e-gham mein meri dua yarab qayam is mein koi bhi habab-dar na ho wo subh sina-e-sad-chaak mein hai dagh-e-junun ki jis se dida-e-khurshed bhi do-chaar na ho hawas uruj ki le jaen gar ye duniya se kabhi buland hawa se koi ghubar na ho kamal-e-surat-e-be-dard se tanaffur hai na dekhen hum kabhi us gul ko jis mein khar na ho hazaron gor ki raaten hain katni 'nasikh' abhi to roz-e-siyah mein tu be-qarar na ho