maze lun dard ke main thoDe thoDe zulm sah-sah kar

maze lun dard ke main thode thode zulm sah-sah kar
sitam kije to tham tham kar jafa kije to rah-rah kar

mile the aaj muddat mein bahut roe bahut tadpe
wo dard-e-ishq sun sun kar hum apna dard kah-kah kar

hui hai sham-e-mahfil to sharik-e-girya-e-ashiq
tujhe ai qulqul-e-mina kaha tha kis ne qah-qah kar

chhupaya zulf ne chehra to shokhi ne kiya zahir
hazaron bar nikla wasl ki shab chand gah-gah kar

tadapne mein maza aata hai us kam-bakht ke hum ko
agar dil yas se baitha ubhaara hum ne kah-kah kar

ye jaana tha na aaenge to kyon jaane diya un ko
yahi ai 'dagh' pachhtawa mujhe aata hai rah-rah kar


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close