mazhaka aao udaen ishq-e-be-buniyaad ka ek juda madfan banaen tesha-e-farhad ka wah-wah kya rang badla gulshan-e-ijad ka saya-e-gul par guman hone laga sayyaad ka bah chala hai ashk-e-hasrat al-madad ai barq-e-yas ye bhi ek dana hai mere khirman-e-barbaad ka kis nigah-e-garm se dekha hai us ne waqt qatl aah thandi pad gai dam ghut gaya fariyaad ka ghuncha ghuncha khauf se mujh ko nazar aaya qafas patte patte par hua dhoka kaf-e-saiyaad ka ye samajh lije kisi shaer ke dil ka tutna tut jaana hai tilism-e-alam-e-ijad ka ho na ehsas-e-asiri to rihai hai muhaal aaise qaidi nam tak lete nahin miad ka zoaf ki ye himmaten hain na-tawani ka ye zor tukde tukde kar diya daman meri fariyaad ka us sukhnawar se mujhe faiz-e-sukhan hai ai 'hafiz' nam-e-nami hai girami jis jahan ustad ka