mazlum ka hai kaun madad-gar dekhna hai kaun zalimon ka parastar dekhna hai zer-e-tegh sar mera mujh ko sukun hai meri tarah hai kaun wafadar dekhna mere qalam ke war se naslon ka sar kata mil jae koi aisi jo talwar dekhna bhuka na soe jis ki hukumat mein koi bhi kya aisi koi milti hai sarkar dekhna tum bhi zara zamin pe chal-phir ke dekh lo tikti nahin hai zulm ki diwar dekhna shikwa bhula ke hum ne bhi apna liya use mujh sa nahin hai koi bhi dildar dekhna bimar ho ke bhi wo shifa bantta raha milta hai aisa bhi koi bimar dekhna us ki tarah hasin milega koi nahin ek bar dekhna nahin sau bar dekhna itna yaqin hai lutf bahut aaega tumhein padh kar zara 'turab' ke ashaar dekhna