mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye

mearaj-e-irtiqa hai tamasha na jaaniye
tahzib-e-asr-e-nau ko barahna na jaaniye

ubhra bahut pe lauh-e-samaat se dur dur
harf-e-sada ko ab ke kahin ka na jaaniye

hone ko is safar mein bahut raegan hue
lekin hamein shikast ka nauha na jaaniye

bas apni ha-o-hu se hi raunaq hai chaar-su
viraniyon ko zinat-e-sahra na jaaniye

tufan ka nam sun ke larazti to hai magar
diwar-e-jism-o-jaan ko shikasta na jaaniye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close