mehrban pate nahin tere tain yak aan hum phir bhala dil ke nikalen kis tarah arman hum har qadam par jis ke ejaz-e-masihai fida us ada us naz us raftar ke qurban hum umr bhar saqi na chhodi mai-kada ki bandagi ek hi paimane par karte hain ye paiman hum koi to dawat bata do is tarah ki shaikh ji ek shab to apne ghar is ko rakhen mehman hum han magar salwat padhna dekh tujh ko dam-ba-dam aur kya rakhte hain teri shan ke shayan hum ji mein hum barpa karen zanjir ka ghul ai junun wadi-majnun ko dekhen kis tarah sunsan hum raat din sohbat hai jin ko be-takalluf aap se puchhna kya wo to behtar hain bhala ai jaan hum tu ne duz-dida nigahen jab ladain ghair se ho gae na-chaar pyare jaan kar anjaan hum ham-nashin sarkar ke hi ja-ba-ja ghammaz hain kijiye tahqiq ise karte nahin bohtan hum sair ko aata hai wo 'iman' ja kar bagh mein khol dewen chaar din aage hi gul ke kan hum