mera banna-sanwarna apni ja hai

mera banna-sanwarna apni ja hai
tera dukh to wagarna apni ja hai

bahut bardasht hai diwar-o-dar ki
kahan us ghar mein warna apni ja hai

main misl-e-sang-e-kohsar-e-garan hun
mere andar ka jharna apni ja hai

baja hai chadar-e-shab ki damak bhi
sitaron ka bikharna apni ja hai

ye dariya apni rau mein bah raha hai
kisi ka jina-marna apni ja hai

guzargah-e-zamana bhi hai lekin
tera dil se guzarna apni ja hai

hasin wade kiye the us ne 'jaanan'
unhen ifa na karna apni ja hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close