mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah

mera dil chaak hua chaak-e-gareban ki tarah
ab gulistan nazar aata hai bayaban ki tarah

mere sine mein munawwar hue yaadon ke charagh
bazm-e-khuban ki tarah shahr-e-nigaran ki tarah

koi monis koi hamdam koi sathi na mila
main pareshan hi raha zulf-e-pareshan ki tarah

khatm ho jaegi har raushni duniya ki magar
tum chamakte hi rahoge mah-e-taban ki tarah

main ne chaha ki sambhal jae tabiat meri
dil tapakta hi raha dida-e-giryan ki tarah

chashm-e-ulfat se na dekha kabhi duniya ne mujhe
main khatakta hi raha khar-e-mughilan ki tarah

mere saqi tere andaz-e-karam ke sadqe
ab to 'maikash' bhi nazar aata hai insan ki tarah


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close