mera dil dad-khwah-e-zulm aslan ho nahin sakta murawwat munh ko si deti hai shikwa ho nahin sakta chhupao aap ko jis rang ya jis bhes mein chaho magar chashm-e-haqiqat-bin se parda ho nahin sakta tamasha-gah-e-hairat hai dayar-e-dil ki virani ye sannata miyan-e-dasht-o-sahra ho nahin sakta badha ek aur gham ifsha-e-raaz-e-ishq se warna na main khulta na wo kahte ki aisa ho nahin sakta mere zulmat-kade mein roz-e-raushan ka guzar kaisa salamat hai shab-e-gham to ujala ho nahin sakta dam-e-ahd-o-wafa thahra na un ke samne koi siwa mere to main kis dil se kahta ho nahin sakta kabhi kaj-taba ko dekha na sidhi rah par aate jo hai dar-asl bad-baatin wo achchha ho nahin sakta na hon sang-e-dar-e-mai-khana ahl-e-zohd ai 'saqib' ki main paband-e-rasm-o-rah-e-taqwa ho nahin sakta