mera fan meri ghazal tera ishaara to nahin husn tera isi parde mein khud-ara to nahin dam-e-zulmat bhi jo aankhon mein hai taswir-e-sahar hath kuchh is mein bhi ai dost tumhaara to nahin kakul-e-waqt mein suljhaw nazar aata hai aap ne zulf-e-pareshan ko sanwara to nahin mere ehsas ki wadi mein shafaq si jhalki mujh ko doshiza-e-fitrat ne pukara to nahin daman-e-husn se kuchh aur sulag uthti hai ishq ki aankh mein shabnam bhi sharara to nahin manta hun ki kinare ki tamanna hai mujhe main ne tufan se kiya phir bhi kinara to nahin khun-e-gulshan hai pas-e-parda-e-ailan-e-bahaar dekhna ghuncha-e-nauras mein sharara to nahin phir nae sar se par-o-baal mein jumbish si hui nargis-e-shahid-e-gul ka ye ishaara to nahin tham gai saut-e-jaras ruk gae rahbar ke qadam kisi gum-karda-e-manzil ne pukara to nahin main ne mana tere kuche mein qadam uth na sake zist ki daud mein lekin kabhi haara to nahin