mera jiwan hai KHud meri kahani se bhi aage ka

mera jiwan hai khud meri kahani se bhi aage ka
fasana hun hayat-e-jawedani se bhi aage ka

zamin ki qaid se ab tak rihai mil nahin pai
safar rakkha hai saqf-e-asmani se bhi aage ka

na jaane kya hua ki phir koi basne nahin paya
ye dil hai ek makan teri nishani se bhi aage ka

kisi ki maut bhi matruk kar sakti nahin is ko
mohabbat silsila hai zindagani se bhi aage ka

khamoshi ki zaban ka tarjuma bhi ho raha hota
agar iblagh hota tarjumani se bhi aage ka

bahut se qarz hain andoh-e-insani ke bhi tum par
kabhi socha karo soz-e-nihani se bhi aage ka

tumhaari call aati hai to sab kuchh bhul jata hun
nasha rahta hai sham-e-arghawani se bhi aage ka

paron mein bandh rakkhi hai masafat khud ko pane ki
irada hai falak ki mehmani se bhi aage ka

'zafar' hadd-e-nazar tak ki basarat ka fusun todo
tumhein to sochna hai la-makani se bhi aage ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close