mera lahja bada dil-gir hua karta hai dil pe lag jae to zanjir hua karta hai sher mein kuchh bhi kahen aap magar sahra to aaj bhi qais ki jagir hua karta hai baat to tab thi nazar bhi na uthani padti tegh uthane se koi wir hua karta hai ab main is chaak ki gardish pe nahin deta dhyan kuchh na kuchh roz hi tamir hua karta hai kaun aashob-e-shab-o-roz mein sunta hai ghazal kis liye shahr mein dil 'mir' hua karta hai