mera wahm-o-guman rahne de sun mujhe be-zaban rahne de dard-e-dil kaamran rahne de ai mohabbat jawan rahne de mujh mein unchi udan rahne de meri hasrat jawan rahne de murda logon ki bastiyan viran mere jazbon mein jaan rahne de ja-ba-ja jama surajon ki bhid man ai aasman rahne de ek chup si lagi hui achchhi rahne de dastan rahne de main bhi khud ko bacha sakun khud se aisa harf-e-bayan rahne de kaam banne lagen agar yunhi sab ke sab ram ban rahne de granth ek prem ka padha mujh ko aur kitabon ka gyan rahne de aag mein jal raha hun barson se ab mera imtihan rahne de