mera wajud usi ki visal-gah mein tha usi ka wird mere dil ki khanqah mein tha tumhaare qaul-o-qasam par fareb kya khata tumhaara tarz-e-amal bhi meri nigah mein tha huruf-e-makr tere lab pe the magar zalim mujhe fareb bhi khana wafa ki rah mein tha tamam sang-dili ya ki phir ghurur-o-hasham kuchh aur us ke siwa bhi jahan-panah mein tha tapak ke dida-e-nam se sadaen deta hai jo ek harf-e-tamanna dil-e-tabah mein tha mujhe to ras ai 'khalid' yahi zamin aai ye aur baat mera zikr mehr-o-mah mein tha