mere aangan ka naya rang nazar aata hai sham hoti hai to ek chand utar aata hai kya hua hai mujhe kyon ghar pe mere kal shab se jo bhi aata hai wo ba-dida-e-tar aata hai jo bhi kahna ho wo kah deti hain lafzon ke baghair baat karne ka un aankhon ko hunar aata hai us ke sae mein kai ahd guzare gae hain raste mein jo mere budha shajar aata hai aisa manzar kahan rukta hai kisi ke roke bandh kar paon mein apne jo bhanwar aata hai khatm jis par ho guzarte hue lamhon ka safar ek naya sal usi lamhe se ubhar aata hai ek muddat se bila-nagha sar-e-sham ai 'nur' qafila shahr-e-nawa ka mere ghar aata hai