mere andar kahin par kho gai hai mohabbat khak mein luthdi hui hai main zakhmi dil liye kab tak phirunga teri khwahish to kab ki mar chuki hai meri aankhon mein hain aansu abhi tak kali ek mez par ab tak dhari hai tere gham ko sameta jab to dekha udasi sahn mein bikhri padi hai tera saya mujhe lipta hua hai to phir tu fasle par kyun khadi hai lakiren hijr ka dukh ro padin ya tumhaare hath mein mehndi rachi hai