mere andar sirf main tha dusra koi na tha shor itna tez tha par bolta koi na tha aankh roi hain bahut duniya ki haalat dekh kar yun to logon se hamara wasta koi na tha aisi duniya mein mujhe ek umr tak rahna pada aankh thi sab ki wahan par dekhta koi na tha pustakon mein umr guzri baal bhi chandi hue mere khatir dil ka darwaza khula koi na tha ek arse baad jab aana hua ghar ki taraf sirf tanhai thi 'satya' aur bacha koi na tha