mere bachche mujhe meri baqa ke istiare hain

mere bachche mujhe meri baqa ke istiare hain
ye meri zindagi ke chand suraj aur tare hain

ye hum ne kab kaha hai tum hamare hi hamare ho
yaqinan ye kaha hai hum tumhaare hi tumhaare hain

ajab ek silsila hai aag pani ka mere andar
meri aankhen ki dariya hain meri sansen sharare hain

kaha to hai khushi teri to gham sare mohabbat ke
hamare hain hamare hain hamare hain hamare hain

hamare pas wo ujda hua har bar hi aaya
lab-o-rukhsar-o-ariz barha us ke sanware hain

hai qimat in dinon joban pe pindar-e-marasim ki
so girwi rakh ke jism-o-jaan ko ye qarze utare hain

'naim' us ko mubarakbaad us ki jit par dil se
use ye kya pata hai kis tarah hum us se haare hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close