mere badan mein lahu ka kataw aisa tha ki mera har-bun-e-mu ek ghaw aisa tha bichhadte waqt ajab uljhanon mein dal gaya wo ek shakhs ki sidhe subhaw aisa tha chali jo baat koi raat ke taaqub mein to baat baat se nikli bahaw aisa tha main pura pura rawana tha abjadon ki taraf hisab-e-umr tera chal-chalaw aisa tha gul-e-nashat ki khushbu bhi bar thi mujh ko mere mizaj mein gham ka rachaw aisa tha kanar-e-lab mein na rahti thi mauj-e-goyai tabiaton mein sukhan ka bahaw aisa tha thaharta kya meri khakistari nigahon mein tera wajud to raushan alaw aisa tha nikal saki na koi bhi farar ki surat sipah-e-zist ka mujh par padaw aisa tha na chah kar bhi use dil se chahte the hum kisi ki lag mein 'tabish' lagaw aisa tha