mere besh-o-kam ke pichhe tera hath hai ziyaada

mere besh-o-kam ke pichhe tera hath hai ziyaada
mera din banane wale meri raat hai ziyaada

yahan ek had se aage kisi zoam mein na rahna
tujhe chhod jaane wala tere sath hai ziyaada

jo sirhane rakkhe rakkhe shab-e-gham mein so gaya hai
mera kaam karne wala wahi hath hai ziyaada

wo jo asl waqia hai use khol kar bayan kar
tu jo kah raha hai us se zara baat hai ziyaada

meri aas ke ufuq se mujhe lag rahi hai chhoti
kisi dusri taraf se yahi raat hai ziyaada

hui mujh se ek khayanat kahin kuchh sametne mein
mere aage ek jagah par meri zat hai ziyaada

hai shikast o fath 'shahin' yahan zindagi ka hissa
mujhe dukh bahut hai jis ka koi mat hai ziyaada


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close