mere dagh-e-dil wo charagh hain nahin nisbaten jinhen sham se unhen tu hi aa ke bujhaega ye jale hain tere hi nam se main hun ek aashiq-e-be-nawa tu nawaz apne payam se ye teri raza pe teri khushi tu pukar le kisi nam se main to gum hun teri talash mein mujhe kaun jaane tere siwa koi kaise mahram-e-raaz ho teri aashiqi ke maqam se tera ishq hai meri zindagi tera zikr hai meri bandagi tujhe yaad karta hun main sada mujhe kaam hai isi kaam se kabhi mai-kade pe jo dil raha tere aashiqon ki nazar pade use kahiye baada-e-marifat jo chhalak pade abhi jam se kahin uth ke jaun main kyun 'fana' ki payam us ka mila mujhe jo mila kabhi to milega wo mujhe dard-e-dil ke maqam se