mere dil-gulsitan ko kis liye aabaad karna tha agar us ko mere haq se mujhe aazad karna tha meri sansen mere ghut ghut ke mar jaane pe chalti hain use shayad mujhe minnat-kash-e-fariyaad karna tha mujhe ek ajnabi ne dubne se kyun bachaya tha main ab samjha use khud hi mujhe barbaad karna tha wo mahbuba to ek shoala-fishan hai phul-qalib mein khuda ko asl mein hum par sitam ijad karna tha shab-e-hijran ne kaisi uljhanon mein mujh ko uljhaya ki jis ko bhul jaana tha usi ko yaad karna tha