mere hone na hone mein na tha kuchh bhi magar phir bhi na jaane kyon hua takhliq be-qimat bashar phir bhi hawa ki pusht pe taron bhari wusat mein ho aaya magar ek qalb ki gahraiyon se be-khabar phir bhi dhamakon ki sada se gunjti hai ye zamin har pal qalam ki nim-bismil aah-e-shab hai be-asar phir bhi agarche khak mustaqbil ka har imkan rakhti hai charaghon ke muqaddar mein nahin hoti sahar phir bhi hamari dosti ka baj raha hai shahr mein danka mera dil aabla phir bhi teri zid neshtar phir bhi