mere liye teri nazron ki raushni hai bahut ki dekh lun tujhe pal bhar mujhe yahi hai bahut ye aur baat ki chahat ke zakhm gahre hain tujhe bhulane ki koshish to warna ki hai bahut kuchh is khata ki saza bhi to kam nahin milti gharib-e-shahr ko ek jurm-e-agahi hai bahut kahan se laun wo chehra wo guftugu wo ada hazar husn hai galiyon mein aadmi hai bahut kabhi to mohlat-e-nazzara nikhat-e-guzaran labon pe aag sulagti hai tishnagi hai bahut kisi ne hans ke jo dekha to ho gae us ke ki is zamane mein itni si baat bhi hai bahut