mere liye to ye bekar hone wala hai ye dil ki dard se bezar hone wala hai main us se khwab ke raste pe milne aaya hun magar wo nind se bedar hone wala hai jo faisla sar-e-darbar hone wala tha wo faisla pas-e-diwar hone wala hai suna hai yusuf-e-sani wahan nahin aaya suna hai khatm wo bazar hone wala hai wo jis ke hath se qisse ne maut pai hai suna hai sahab-e-kirdar hone wala hai